اردو हिंदी
Jab bhi koi baat ki aansu Dhalke sath | Shaahi Shayari
jab bhi koi baat ki aansu Dhalke sath

Ghazal

Jab bhi koi baat ki aansu Dhalke sath

Anjum Rumani

;

jab bhi koi baat ki aansu Dhalke sath
hum bhi pagal ho gae man pagal ke sath

raat ko kali chandni din ko kali dhup
DhunDen aanhken raushni rahen dhundalke sath

maren Tamak-Toiye andhiyare mein log
tare sare bujh gae dil ke kanwal ke sath

aaj hai man mein ran paDa aaj ki rakkho laj
jhuTi kal ki dosti jhuTe kal ke sath

pap karo ji khol kar dhabbon ki kya soch
jab ji chaha dho liye ganga-jal ke sath

guru to KHair guru hua us ki bhali kahi
chalta hai kya baalaka uchhal uchhal ke sath

rail bajae siTiyan dauDo waqt chala
huqqa pine chaudhari gaya ajal ke sath

toton ne hain aaj kal khole yahan school
bailon ne hain aadmi jute hal ke sath

aan ki aan mein ho gai duniya aur se aur
hum tum baiThe rah gae bite pal ke sath

duniya ki ye rit hai mange bhik na de
pae wahi jo chhin le baDh kar bal ke sath

koi waqt ko rok lo gaya na aae hath
aata pal bhi lo gaya jate pal ke sath

ghar baiThe hogi nahin wahshat dil ki dur
ras rachi hai shahr mein dekho chal ke sath

madh mate ka sath kya aai lahr gaya
partaw le man banwara har aanchal ke sath

hum ko dekho pi gae maTke zahar bhare
tum to be-sudh ho gae ek botal ke sath

jata tha ek qafila rup-nagar ki aur
hum bhi 'anjum' ho liye bhes badal ke sath