jab bhi kamre mein kuchh hawa aai
main ne jaana wahi sada aai
zehn jis ko uThae phirta tha
aankh us ko kahin ganwa aai
shaKH TuTi to ek sada nikli
sare jangal ko jo jaga aai
jab daraKHton se jhaD gae patte
bojh lade hue hawa aai
mere ghar mein taDap rahi hai raat
KHwab jaane kahan luTa aai
Ghazal
Jab bhi kamre mein kuchh hawa aai
Abid Almi