jab bhi jalegi shama to parwana aaega
diwana le ke jaan ka nazrana aaega
tujh ko bhula ke lunga main KHud se bhi intiqam
jab mere hath mein koi paimana aaega
aasan kis qadar hai samajh lo mera pata
basti ke baad pahla jo virana aaega
us ki gali mein sar ki bhi lazim hai ehtiyat
patthar uTha ke hath mein diwana aaega
'nasir' jo pattharon se nawaza gaya hun main
marne ke baad phulon ka nazrana aaega
Ghazal
Jab bhi jalegi shama to parwana aaega
Hakeem Nasir