jab bhi jaan-e-bahaar milta hai
dil ko sabr-o-qarar milta hai
baat dil ki jo ho to kyun kar ho
wo sar-e-rahguzar milta hai
yaad kuchh qafilon ki aati hai
jab bhi uDta ghubar milta hai
nazm-e-gulshan mein kuchh to hai KHami
har koi sogwar milta hai
baada-e-talKH mein kahan hamdam
jo nazar mein KHumar milta hai
rahrawon ke KHulus se aksar
manzilon ko waqar milta hai

Ghazal
Jab bhi jaan-e-bahaar milta hai
Om Parkash Bajaj