jab bhi hansi ki gard mein chehra chhupa liya
be-laus dosti ka baDa hi maza liya
ek lamha-e-sukun to mila tha nasib se
lekin kisi sharir sadi ne chura liya
kanTe se bhi nichoD li ghairon ne bu-e-gul
yaron ne bu-e-gul se bhi kanTa bana liya
'aslam' baDe waqar se degree wasul ki
aur is ke baad shahr mein KHwancha laga liya
Ghazal
Jab bhi hansi ki gard mein chehra chhupa liya
Aslam Kolsarii