اردو हिंदी
Jab bhi gulshan mein chali ThanDi hawa | Shaahi Shayari
jab bhi gulshan mein chali ThanDi hawa

Ghazal

Jab bhi gulshan mein chali ThanDi hawa

Abdul Mannan Tarzi

;

jab bhi gulshan mein chali ThanDi hawa
aur pagal kar gai ThanDi hawa

pahle to aisi na thi ThanDi hawa
ho gai kyun dil-jali ThanDi hawa

sun ke us ki baat ghunche hans paDe
kan mein kya kah gai ThanDi hawa

un ke honTon ka jo kar aai tawaf
pa gai kuchh naghmagi ThanDi hawa

hai dil-e-nakaam se achchhi nahin
chheD-KHani bhi teri ThanDi hawa

sach bata meri tarah kya un ki bhi
be-qarari thi baDhi ThanDi hawa

zaKHm-e-dil jis se hua kuchh mundamil
kucha-e-jaanan ki thi ThanDi hawa

dekh lete hum bhi tera kuchh kamal
khilti gar dil ki kali ThanDi hawa

ek pareshan dil ka kah degi salam
milna un se gar kabhi ThanDi hawa

'tarzi' aisa hai asir-e-gham tera
haal par jis ke hansi ThanDi hawa