jab bhi ghar ke andar dekhne lagta hun
khiDki khol ke bahar dekhne lagta hun
tanhai mein aisa bhi kabhi hota hai
KHud ko bhi main chhu kar dekhne lagta hun
hath koi jab aaankhon par aa rakhta hai
kaise kaise manzar dekhne lagta hun
pahle dekhta hun main kumak KHayalon ki
phir lafzon ke lashkar dekhne lagta hun
dekh dekh ke us ko ji nahin bharta to
banhon mein phir bhar kar dekhne lagta hun
din bujh jae to phir tare tare mein
KHud ko 'shaz' munawwar dekhne lagta hun
Ghazal
Jab bhi ghar ke andar dekhne lagta hun
Zakariya Shaz