اردو हिंदी
Jab bhi do aansu nikal kar rah gae | Shaahi Shayari
jab bhi do aansu nikal kar rah gae

Ghazal

Jab bhi do aansu nikal kar rah gae

Sufi Tabassum

;

jab bhi do aansu nikal kar rah gae
dard ke unwan badal kar rah gae

kitni fariyaaden labon par ruk gain
kitne ashk aahon mein Dhal kar rah gae

ruKH badal jata meri taqdir ka
aap hi tewar badal kar rah gae

khul ke rone ki tamanna thi hamein
ek do aansu nikal kar rah gae

zindagi bhar sath dena tha jinhen
do qadam hamrah chal kar rah gae

tere andaz-e-'tabassum' ka fusun
hadse pahlu badal kar rah gae