jab bhi bhule se kabhi lab pe hansi aai hai
gham ki taswir mere zehn pe lahrai hai
is qadar charcha hai kuchh aamad-e-fasl-e-gul ka
KHar ko KHar na kahne hi mein danai hai
ban gai KHar sar-e-shaKH kali wo ek din
phul banne ki tamanna mein jo murjhai hai
aankh ne dekha nahin ek bhi gul KHanda-ba-lab
sirf kanon ne suna hai ki bahaar aai hai
din to sayon ke taaqub mein guzara lekin
phir wahi raat wahi main wahi tanhai hai
jab tha main garm-e-safar sayon se katraata tha
thak gaya hun to mujhe shoalon pe nind aai hai
go main begana hun KHud zat se apni 'simab'
meri fitrat mein magar anjuman-arai hai
Ghazal
Jab bhi bhule se kabhi lab pe hansi aai hai
Seemab Sultanpuri