jab bhi baadal barish lae shauq-jaziron se
KHosha KHosha harf ki belen bhar gain hiron se
tum se mile to shahr-e-tamanna kitna phail gaya
kya kya KHwab nae tamir hue tabiron se
aankhen rangon ki barsaten tak tak jhil huin
dil ne kya kya aks kashid kiye taswiron se
us ko chhune ki KHwahish ne hath baDhae to
phan phailae nikle kitne sanp lakiron se
'ali' danish ki basti mein ab sardar wahi
DhunD nikale kuchh andhiyare jo tanwiron se
Ghazal
Jab bhi baadal barish lae shauq-jaziron se
Jaleel u0027Aaliu0027