jab bhi aankhon mein teri ruKHsat ka manzar aa gaya
aaftab-e-waqt neze ke barabar aa gaya
dosti ki jab duhai di to sharq-o-gharb se
hath mein patthar liye yaron ka lashkar aa gaya
is safar mein go tamazat to bahut thi hijr ki
main teri yaadon ki chhanw sar pe le kar aa gaya
go zamin-o-asman masruf-e-gardish hain magar
jab bhi gardish ka sabab socha to chakkar aa gaya
aadmi ko hashr ke manzar nazar aane lage
us ke qabze mein jab ek zarre ka jauhar aa gaya
husn-e-insan dafn ho jaane se miTta hai kahan
phul ban kar KHak ke parde se bahar aa gaya
ashk jab Tapke kisi bekas ki aankhon se 'nadim'
yun laga tufan ki zad mein samundar aa gaya
Ghazal
Jab bhi aankhon mein teri ruKHsat ka manzar aa gaya
Ahmad Nadeem Qasmi