jab bhi aaankhon mein tere wasl ka lamha chamka
chashm-e-be-ab ki dahliz pe dariya chamka
fasl-e-gul aai khule bagh mein KHushbu ke alam
dil ke sahil pe tere nam ka tara chamka
aks be-naqsh hue aaine dhundlane lage
dard ka chand sar-e-baam-e-tamanna chamka
rang aazad hue gul ki girah khulte hi
ek lamhe mein ajab bagh ka chehra chamka
pairahan mein bhi tera husn na tha hashr se kam
jab khule band-e-qaba aur hi naqsha chamka
dil ki diwar pe uDte rahe malbus ke rang
der tak un mein teri yaad ka saya chamka
ruh ki aankh chaka-chaund hui jati hai
kis ki aahaT ka mere kan mein naghma chamka
lahren uTh uTh ke magar us ka badan chumti thin
wo jo pani mein gaya KHub hi dariya chamka
hijr panpa na tera wasl hamein ras aaya
kisi maidan mein tara na hamara chamka
jaise barish se dhule sehn-e-gulistan 'ajmad'
aankh jab KHushk hui aur wo chehra chamka
Ghazal
Jab bhi aaankhon mein tere wasl ka lamha chamka
Amjad Islam Amjad