jab bayan karoge tum hum bayan mein niklenge
hum hi dastan ban kar dastan mein niklenge
ishq ho mohabbat ho pyar ho ki chahat ho
hum to har samundar ke darmiyan mein niklenge
raat ka andhera hi raat mein nahin hota
chand aur sitare bhi aasman mein niklenge
dekh to kabhi shab ko karwan sitaron ka
nur ke kai mahmil kahkashan mein niklenge
boliyan zamane ki muKHtalif to hoti hain
lafz pyar ke lekin har zaban mein niklenge
kaT kar badan sara qash qash mein jhanken
aap ke hayule hi qalb-o-jaan mein niklenge
KHak ka samundar bhi kya ajab samundar hai
is jahan mein Dubenge us jahan mein niklenge
qissa-e-suKHan-goi jab 'adim' aaega
hum bhi waqia ban kar dastan mein niklenge
sirf sabz patte hi peD par nahin hote
kuchh na kuchh parinde bhi aashiyan mein niklenge
Ghazal
Jab bayan karoge tum hum bayan mein niklenge
Adeem Hashmi