jab baDha dard ki maujon ka dabaw sahab
meri sanson ki larazne lagi naw sahab
is se baDh kar nahin afsurda-mizaji ka ilaj
dil agar roe to auron ko hansao sahab
ghup andhere mein ugata hun suKHan ka suraj
be-sabab thoDi hai raaton se lagaw sahab
jab nahin milti nae zaKHm ki saughat mujhe
chhil deta hun purana koi ghaw sahab
jis ki danai ne mansuKH kiye hosh-o-hawas
aise nadan pe patthar na uThao sahab
main ne us husn-e-mujassam ki ziyarat ki hai
meri aankhon ke zara dam lagao sahab
bijliyan wasl ki sanson pe girao sahab
ruKH se bhigi hui zulfon ko haTao sahab
jaise sahraon mein milte hain do pyase dariya
honT se honT kuchh is tarah milao sahab
dil mohabbat ki saqafat ka azal se hai amin
is shahanshah ko nafrat na sikhao sahab
jit kar jashn manana to hui aam si baat
haar kar bhi to kabhi jashn manao sahab
hum nae ahd ke suqraat hain is bar hamein
zahr ka pyala nahin jam pilao sahab
Ghazal
Jab baDha dard ki maujon ka dabaw sahab
Nadeem Sirsivi