jab banTana hi azab Thahra
phir kaisa hisab mangte ho
sab honTon pe mohr lag chuki hai
ab kis se jawab mangte ho
kaliyon ko masal ke apne hathon
phulon se shabab mangte ho
har lafz salib par chaDha kar
tum kaisi kitab mangte ho
sab raushniyon ko chhin kar bhi
diwanon se KHwab mangte ho
firdaus-e-barin mein mil sakegi
is yug mein sharab mangte ho
Ghazal
Jab banTana hi azab Thahra
Parveen Fana Syed

