jab ashk teri yaad mein aankhon se Dhale hain
taron ke diye surat-e-parwana jale hain
sau bar basai hai shab-e-wasl ki jannat
sau bar gham-e-hijr ke shoalon mein jale hain
har aan umangon ke badalte rahe tewar
har aan mohabbat mein nai rah chale hain
mahtab se chehre the sitaron si nigahen
hum log inhi chand sitaron mein pale hain
noche hain kabhi hum ne hawadis ke gareban
nakaami-e-koshish pe kabhi hath male hain
tarik fazaon ke ubharte rahe tufan
phir bhi teri yaadon ke diye KHub jale hain
kya jaaniye ye rind bure hain ki bhale hain
saqi ki nigahon ke ishaaron pe chale hain
mahsus ye hota hai ki duniya ki bahaaren
us gul-kada-e-naz ke sae ke tale hain
yunhi to dil-awez nahin sher-e-'tabassum'
ye naqsh tere husn ke sanche mein Dhale hain
Ghazal
Jab ashk teri yaad mein aankhon se Dhale hain
Sufi Tabassum