jab arsh pe dam toDne lagti hain duaen
deta hai rag-e-jaan se mujhe koi sadaen
phir sarmad-o-mansur ka aata hai zamana
ab ahl-e-chaman gul ki jagah dar ugaen
us tishna ki barsat mein kya pyas bujhegi
kashmir ke barfab jise aag lagaen
yun apni dua sun ke chahak uTThe farishte
jis tarah suKHan-fahm koi misra uThaen
allah-re wo sarshaar gunahgar jo apni
be-saKHta laghzish pe KHuda ko bhi rijhaen
Ghazal
Jab arsh pe dam toDne lagti hain duaen
Sher Afzal Jafri