اردو हिंदी
Jab aql ne kar Dala jazbaat se samjhauta | Shaahi Shayari
jab aql ne kar Dala jazbaat se samjhauta

Ghazal

Jab aql ne kar Dala jazbaat se samjhauta

Mahmood Beg Saaz

;

jab aql ne kar Dala jazbaat se samjhauta
hum kyun na karen apne haalat se samjhauta

jine ke liye aaKHir karna hi paDa mujh ko
din raat ki gardish mein din raat se samjhauta

haalat badalne mein kuchh der nahin lagti
behtar hai abhi kar len haalat se samjhauta

jab us ne jhalak dekhi pasti mein bulandi ki
suraj ne kiya baDh kar zarraat se samjhauta

aasan nahin apni auqat samajh lena
mushkil hai bahut apni auqat se samjhauta

ki yun to mere nafs-e-sarkash ne bahut koshish
TuTa na mere sar ka sajdat se samjhauta

har samt fazaon se barse to lahu barse
ye kis ne kiya chhup kar barsat se samjhauta

jab dil ke taqazon ko KHud aql hi Thukra de
tab ho bhi to kaise ho jazbaat se samjhauta

haalat ne samjhauta ai 'saz' kiya mujh se
main ne na kiya apne haalat se samjhauta