jab apnon se dur parae des mein rahna paDta hai
san-guman na hon jis ka wo dukh bhi sahna paDta hai
KHud ko marna paDta hai is aaTe dal ke chakkar mein
do kauDi ke aadmi ko bhi sahab kahna paDta hai
banjar hoti jati ho jab pal pal yaadon ki wadi
dariya ban kar apni hi aaankhon se bahna paDta hai
mahrumi ki chadar oDhe tanha qaidi ki manind
KHalam-KHali diwaron ke andar rahna paDta hai
baaten karni paDti hain diwar pe baiThe kawwe se
is chiDiya se sare din ka qissa kahna paDta hai
Ghazal
Jab apnon se dur parae des mein rahna paDta hai
Afzaal Firdaus