اردو हिंदी
Jab apne naghme na apni zaban tak aae | Shaahi Shayari
jab apne naghme na apni zaban tak aae

Ghazal

Jab apne naghme na apni zaban tak aae

Jagan Nath Azad

;

jab apne naghme na apni zaban tak aae
tere huzur hum aa kar bahut hi pachhtae

KHayal ban na saka naghma garche hum ne use
hazar tarah ke malbus-e-lafz pahnae

ye husn-o-rang ka tufan hai maaz-allah
nigah jam na sake aur thak ke rah gae

jo dard uThe bhi to izhaar us ka ho kyunkar
huzur-e-husn agar aawaz baiTh hi jae

haTe nazar se na furqat ki dhup mein 'azad'
kisi ki sumbul-e-shab rang ke ghane sae