jab apne e'tiqad ke mehwar se haT gaya
main reza reza ho ke harifon mein baT gaya
dushman ke tan pe gaD diya main ne apna sar
maidan-e-kar-zar ka pansa palaT gaya
thoDi si aur zaKHm ko gahrai mil gai
thoDa sa aur dard ka ehsas ghaT gaya
darpesh ab nahin tera gham kaise man lun
kaisa tha wo pahaD jo raste se haT gaya
apne qarib pa ke moattar si aahaTen
main bar-ha sanakti hawa se lipaT gaya
jo bhi mila safar mein kisi peD ke tale
aaseb ban ke mujh se wo saya chimaT gaya
luTte hue awam ke ghar-bar dekh kar
ai shahryar tera kaleja na phaT gaya
rakkhega KHak rabt wo is kaenat se
jo zarra apni zat ke andar simaT gaya
choron ka ehtisab na ab tak hua 'qatil'
jo hath be-qusur tha wo hath kaT gaya
Ghazal
Jab apne etiqad ke mehwar se haT gaya
Qateel Shifai