اردو हिंदी
Jab apna saya hi dushman hai kya kiya jae | Shaahi Shayari
jab apna saya hi dushman hai kya kiya jae

Ghazal

Jab apna saya hi dushman hai kya kiya jae

Afroz Alam

;

jab apna saya hi dushman hai kya kiya jae
yahi to zehn ki uljhan hai kya kiya jae

hain jis ke hath mein zarre bhi mah-o-anjum bhi
usi ke hath mein daman hai kya kiya jae

udas baam pe mausam ne khol din zulfen
kisi biyog mein jogan hai kya kiya jae

wo sham-e-lutf-o-tarab aur chandni sa badan
isi KHumar mein nagan hai kya kiya jae

wo apni shoKH adaon se luTta hai mujhe
bahut hasin ye rahzan hai kya kiya jae

wafa-parast hai aatish-fishan ka rakhwala
sanam-kade mein barahman hai kya kiya jae

fareb deta hai 'alam' pe raj karta hai
adu ke hath mein har fan hai kya kiya jae