اردو हिंदी
Jab apna muqaddar Thahre hain zaKHmon ke gulistan aur sahi | Shaahi Shayari
jab apna muqaddar Thahre hain zaKHmon ke gulistan aur sahi

Ghazal

Jab apna muqaddar Thahre hain zaKHmon ke gulistan aur sahi

Shahid Akhtar

;

jab apna muqaddar Thahre hain zaKHmon ke gulistan aur sahi
kuchh surKHi-e-KHanjar aur siwa rangini-e-daman aur sahi

dildari-e-dast-e-qatil ko baqi hain hamin to aao chalo
is kucha-e-jaanan mein yaro ek jashn-e-charaghan aur sahi

kaTte hain kaTen bazu-o-gulu bahta hai bahe gulnar-e-lahu
ek marka-e-dil aur sahi ek marka-e-jaan aur sahi

kaTte hi kaTegi hijr ki shab liye dard chalo ta-subh-e-tarab
in shauq ki mari aankhon se kuchh wada-o-paiman aur sahi

bichhne do bisat-e-zist agar jite to sar-afraazi warna
sab haare hue to baiThe ho ye naqd-e-dil-o-jaan aur sahi