اردو हिंदी
Jab adhure chand ki parchhain pani par paDi | Shaahi Shayari
jab adhure chand ki parchhain pani par paDi

Ghazal

Jab adhure chand ki parchhain pani par paDi

Zafar Sahbai

;

jab adhure chand ki parchhain pani par paDi
raushni ek na-mukammal si kahani par paDi

dhup ne kachche-phalon mein dard ka ras bhar diya
ishq ki uftad na-puKHta jawani par paDi

gard KHamoshi ki sab mere dahan se dhul gai
is qadar barish suKHan ki be-zabani par paDi

us ne apne qasr se kab jhank kar dekha hamein
kab nazar us ki hamari be-makani par paDi

asl sone par tha jitna bhi mulamma jal gaya
dhup is shiddat ki alfaz o maani par paDi

tark kijiye ab dilon mein narm goshon ki talash
be-hisi ki KHak harf-e-mehrbani par paDi

zaKHm-e-dil us ki tawazo mein namak-dan ban gaya
ye musibat bhi hamari mezbani par paDi

apne hathon TuTne ka tajraba to ho gaya
choT be-shak saKHt thi jo KHush-gumani par paDi