اردو हिंदी
Jab achchhe the din raat kam yaad aae | Shaahi Shayari
jab achchhe the din raat kam yaad aae

Ghazal

Jab achchhe the din raat kam yaad aae

Mushtaq Sadaf

;

jab achchhe the din raat kam yaad aae
bura waqt aaya to hum yaad aae

jo samjho mohabbat ki tauhin hai ye
sitam-gar se pahle sitam yaad aae

zamane se jab paD gaya wasta to
teri zulf ke pech-o-KHam yaad aae

mili jo mohabbat ke badle mein nafrat
hamein ahl-e-duniya ke gham yaad aae

hansi aa gai un ki baaton pe yunhi
wo samjhe ki un ke karam yaad aae

jo hans kar kisi ne kisi se kaha kuchh
hamein bhi kisi ke sitam yaad aae

kabhi dil ko dil se jo dekha bichhaDte
'sadaf' ko tumhaare karam yaad aae