jab achanak mere pahlu se mera yar uTha
dard sine mein uTha aur kai bar uTha
zindagi bojh na ban jae tan-asani se
apne raste mein kabhi KHud koi diwar uTha
sarsar-e-waqt se ghafil tha tu ai kibr-nazad
gir gai KHak zamin par teri dastar uTha
wahm-e-nazara mein hai aafiyat-e-dida-o-dil
bhul kar bhi na kabhi parda-e-asrar uTha
jis se ho jaen mere chahne wale taqsim
aisi diwar na koi mere meamar uTha
KHauf-e-tadib se mazlumon pe roya na gaya
sham-e-maqtal mein koi bhi na azadar uTha
dur tak phaila hua dasht-e-bala hai bahar
apni mahfil se na mujh ko mere dildar uTha
naz-bardar-e-hunar ho gae ruKHsat kab ke
ab bisat-e-suKHan-o-naghma-o-ashaar uTha
samne tere zar-afshan hai nai subh-e-umid
apni palkon ko zara dida-e-KHun-bar uTha
kal 'farasat' tha yahan majma-e-yaran tere sath
ab isi shahr mein tanhai ke aazar uTha
Ghazal
Jab achanak mere pahlu se mera yar uTha
Farasat Rizwi