jab aasman par mah-o-aKHtar palaT kar aae
hum ruKH pe din ki dhup liye ghar palaT kar aae
nazzara jin ka bais-e-rahm-e-nigah tha
aankhon ke samne wahi manzar palaT kar aae
har ghar sulag raha tha ajab sard aag mein
jab arsa-gah-e-jang se lashkar palaT kar aae
sad-rashk-e-iltifat tha jab us ka jaur bhi
ji kyun na chahe phir wo sitamgar palaT kar aae
jo baat guftani thi wahi an-kahi rahi
be-ras jo tazkire the zaban par palaT kar aae
duniya se ho gae na hon aazurda-dil kahin
phir is zamin par na payambar palaT kar aae
ye baat agar hai sach ki palaTta nahin hai waqt
lamhat-e-gham mere liye kyun kar palaT kar aae
kahte hain us ne dekhi thi kal ek jal-pari
har lab pe hai dua ki shanawar palaT kar aae
ai 'abid' aasman pe na kuchh bhi asar hua
mujh par hi meri aah ke patthar palaT kar aae

Ghazal
Jab aasman par mah-o-aKHtar palaT kar aae
Abid Munavari