اردو हिंदी
Jab aasman ne nanhe parindon ko par diye | Shaahi Shayari
jab aasman ne nanhe parindon ko par diye

Ghazal

Jab aasman ne nanhe parindon ko par diye

Musarrat Hashmi

;

jab aasman ne nanhe parindon ko par diye
zalim hawa ne tir bhi ham-rah kar diye

is gulsitan se faKHta parwaz kar gai
mausam ne shaKH-sar bhi kanTon se bhar diye

har shaKHs ahd-e-jabr mein harf-e-dua hua
honTon ko hadsat ne kya kya hunar diye

apni nigah ke aaine suraj ko saunp kar
hum ne bhi kaenat ko aaina-gar diye

phir aasman ke auj se shabnam ata hui
phir meri pastiyon ne mujhe bahr-o-bar diye