اردو हिंदी
Jab aashiqi mein mera koi raaz-dan nahin | Shaahi Shayari
jab aashiqi mein mera koi raaz-dan nahin

Ghazal

Jab aashiqi mein mera koi raaz-dan nahin

Zahid Chaudhry

;

jab aashiqi mein mera koi raaz-dan nahin
aisi lagi hai aag ki jis ka dhuan nahin

go main sharik-e-bazm sar-e-asman nahin
wo raaz kaun sa hai jo mujh par ayan nahin

main sochta hun zist mein nakaam ho gaya
mere KHulus-e-shauq ka jab imtihan nahin

mera maqam ishq-e-butan mein hai be-misal
go main rahin-e-minnat-e-pir-e-mughan nahin

wo aashiqi nahin hai koi karobar hai
jis aashiqi mein garmi-e-soz-e-nihan nahin

main soz-o-saz-e-shauq mein had se guzar gaya
ab is safar mein mera koi karwan nahin

meri nawa-e-gham mein hai shamil fughan-e-gul
kaise kahun chaman mein koi ham-zaban nahin

mamur ho gaya hai wo soz-e-hayat se
jo mubtala-e-gardish-e-kaun-o-makan nahin

shauq-e-safar mein walwala-e-dil nahin raha
dushman rah-e-hayat mein jab aasman nahin