jab aah bhi chup ho to ye sahrai kare kya
sar phoDe na KHud se to ye tanhai kare kya
guzri jo idhar se to ghuTan se ye maregi
habs-e-dil-e-wahshi mein ye purwai kare kya
kahti hai jo kahne do ye duniya mujhe kya hai
zindani-e-ehsas mein ruswai kare kya
har husn o ada dhans gae aaine ke andar
jab rakh hon aankhen to ye zebai kare kya
wo zaKHm ki har lams naya zaKHm lage hai
bimari-e-idrak masihai kare kya
pal bhar ko ye sauda-e-junun kam nahin hota
shahron ke takalluf mein ye saudai kare kya
Ghazal
Jab aah bhi chup ho to ye sahrai kare kya
Sarwat Zehra