jab aaftab se chehra chhupa rahi thi hawa
nazar bacha ke tere shahr ja rahi thi hawa
main us ko rota hua dekhta raha chup-chap
chameli ghas pe Tap Tap gira rahi thi hawa
wo man hai aab-e-rawan ki tabhi samundar ko
uTha ke god mein jhula jhula rahi thi hawa
wo KHwab tha ya safar aane wale mausam ka
mari paDi thi zamin zahr kha rahi thi hawa
na-jaane dosh pe kis ko uTha ke raat gae
tabib-e-shahr ka dar khaTkhaTa rahi thi hawa
main garm-o-sard ko taqdir samjhe baiTha raha
nizam-e-mausam-e-hasti chala rahi thi hawa
tamam umar main samjha hawa muKHalif hai
mere charagh mein KHud ko jala rahi thi hawa
Ghazal
Jab aaftab se chehra chhupa rahi thi hawa
Shahnawaz Zaidi