اردو हिंदी
Jab aaftab samundar mein ja giraata hun | Shaahi Shayari
jab aaftab samundar mein ja giraata hun

Ghazal

Jab aaftab samundar mein ja giraata hun

Osama Zakir

;

jab aaftab samundar mein ja giraata hun
tab apne aap se bahar nikal ke aata hun

hasin KHwabon ko sare hare parindon ko
jhulasti zat ke sahra mein chhoD aata hun

jo TuTta hai ujalon ke shahr mein tara
main jugnuon ke liye aashiyan banata hun

ye main nahin hun ye teri nazar ka dhoka hai
tu kaun hun main kisi ko nahin batata hun