jab aaftab na nikla to raushni ke liye
jala ke hum ne parinde faza mein chhoD diye
tamam umr rahin zer-e-lab mulaqaten
na us ne baat baDhai na hum ne honT siye
supurdagi ka wo lamha kabhi nahin guzra
hazar bar mare hum hazar bar jiye
hazar bar wo aaya bhi aur chala bhi gaya
ek umr bit gai us ka e'tibar kiye
KHabar nahin ki KHala kis jagah pe ho maujud
zamin par bhi qadam phunk phunk kar rakhiye
safar bhi dur ka hai aur kahin nahin jaana
ab ibtida ise kahiye ki intiha kahiye
hawa uTha na saki bojh abr ka 'shahzad'
zamin ke ashk bhi aaKHir samundaron ne piye
Ghazal
Jab aaftab na nikla to raushni ke liye
Shahzad Ahmad