jaun main us nigar par qurban
us salone singar par qurban
jin dilan ke dalan kun dil bhanjan
sar mera us sawar par qurban
jin dhatura de dil churai mera
us daghabaz nar par qurban
jag munje bolta ki tu gyani
ki hua us ganwar par qurban
munjh se aashiq kun bul-hawas kahte
ishq ke karobar par qurban
dil-baran ki to dosti malum
aashiqan ke qarar par qurban
yak bala dur dusri ban ka
'bahri' apni bahaar par qurban
Ghazal
Jaun main us nigar par qurban
Qazi Mahmud Behri