jaun kya munh le ke main wo bad-guman ho jaega
rang ke uDne se ishq us par ayan ho jaega
aish-e-bazm-e-be-KHudi josh-e-fughan ho jaega
hum kahan honge jo raaz-e-gham ayan ho jaega
dusra aalam bane to ho sake taskin-e-husn
ab hai jitna ye to sarf-e-imtihan ho jaega
ta-ajal pahunchaegi ye na-tawani hijr mein
zoaf baDhte baDhte zor-e-na-tawan ho jaega
meri KHamoshi ko zalim jor-e-be-ja se na chheD
warna zabt-e-dil teri zid se fughan ho jaega
shauq se ghairon mein jae main na hunga bad-guman
KHu-e-bad se KHud wo apna pasban ho jaega
dil-nashin hai aalam-e-zauq-e-asiri ka KHayal
ab dil-e-sayyaad apna aashiyan ho jaega
gham se mere ghar mein gunjaish nahin hai aish ki
naghma-KHwan bhi aaega to nauha-KHwan ho jaega
mausam-e-baran mein kyun hai dasht ka qasd ai junun
aaj-kal to dasht apna hi makan ho jaega
KHubi-e-guftar se samjhega kaun us ka jawab
hashr sara mahw-e-andaz-e-bayan ho jaega
kya yaqin tha hum jo pahunchenge wahan ai josh-e-ashk
wahm apna baDh ke us ka pasban ho jaega
kah sakega kuchh bhi ai 'raghib' na us KHamosh se
be-dahan ke samne tu be-zaban ho jaega
Ghazal
Jaun kya munh le ke main wo bad-guman ho jaega
Raghib Badayuni