jaun kahan shuur-e-hunar kis ke pas hai 
aankhen hain sab ke pas nazar kis ke pas hai 
hadd-e-nazar mein manzil-e-maqsud hai magar 
jaega kaun raKHt-e-safar kis ke pas hai 
zaKHmon mein ho rahe hain izafe nae nae 
lekin nahin KHabar ki tabar kis ke pas hai 
hum hain ba-qaul un ke agar tirgi-pasand 
phir dosto kalid-e-sahar kis ke pas hai 
main qamat-e-shajar ka pujari nahin 'asad' 
mujh ko ye dekhna hai samar kis ke pas hai
        Ghazal
Jaun kahan shuur-e-hunar kis ke pas hai
Asad Jafri

