اردو हिंदी
Jate kahan junun ke tufan mein aa gae | Shaahi Shayari
jate kahan junun ke tufan mein aa gae

Ghazal

Jate kahan junun ke tufan mein aa gae

Shakir Inayati

;

jate kahan junun ke tufan mein aa gae
aaKHir ko chaaragar mere zindan mein aa gae

wo shor-o-ghul wo shahr ka tufan-e-zindagi
achchhe rahe wahi jo bayaban mein aa gae

wo un ki sair-e-bagh wo zauq-e-bahaar-e-naz
phul aap TuT TuT ke daman mein aa gae

us gul ki aarzu mein KHalish is qadar hai kyun
kanTe kahan se hasrat-o-arman mein aa gae

jo ghar bachche-bachae the tufan-e-ah se
wo intizam-e-dida-e-giriyan mein aa gae

shayan tumhaari shan ke ye zindagi nahin
tum kyun hamare KHwab-e-pareshan mein aa gae

hai ahl-e-bazm ye bhi ek andaz-e-naz-e-husn
aansu kahan se sham-e-farozan mein aa gae

'shakir' nahin hai rabt jinhen sabr o shukr se
haiwan hai wo jo surat-e-insan mein aa gae