jate jate dekhna patthar mein jaan rakh jaunga
kuchh nahin to ek do chingariyan rakh jaunga
nind mein bhi KHwab rakhne ki jagah baqi nahin
sochta hun ye KHazana ab kahan rakh jaunga
sab namazen bandh kar le jaunga main apne sath
aur masjid ke liye gungi azan rakh jaunga
jaanta hun ye tamasha KHatm hone ka nahin
hall mein ek roz KHali kursiyan rakh jaunga
chand suraj aur tare phunk Dalunga sabhi
is zamin par ek nanga aasman rakh jaunga
chhoD dunga ab main 'alwi' aaKHiri din ki talash
aur adab ke shahr mein KHali makan rakh jaunga
Ghazal
Jate jate dekhna patthar mein jaan rakh jaunga
Mohammad Alvi