jate hue nigah idhar kar ke dekh lo
hum log phir kahan hamein ji-bhar ke dekh lo
deta hai ab yahi dil-e-shorida mashwara
jine se tang ho to miyan mar ke dekh lo
rahne ka dasht mein bhi saliqa nahin gaya
yan bhi qarine sare mere ghar ke dekh lo
shahan-e-kaj-kulah zamin-bos ho gae
tewar magar wahi hain mere sar ke dekh lo
sajde mein do-jahan hain ai 'dil' hamare sath
rutbe ye aastan qalandar ke dekh lo
Ghazal
Jate hue nigah idhar kar ke dekh lo
Dil Ayubi