jate hue nahin raha phir bhi hamare dhyan mein
dekhi bhi hum ne machhliyan shishe ke martaban mein
pahle bhi apni jholiyan jhaD kar uTh gae the hum
aisi hi ek raat thi aisi hi dastan mein
sath zaif bap ke lag gain kaam-kaj par
gahne chhupa ke laDkiyan dadi ke pan-dan mein
ghanTi baja ke bhagte bachchon ko thoDi ilm hai
rahta nahin hai koi bhi aadmi is makan mein
yani majal kuchh nahin zarron ke ijtima ki
yani sabhi mah-o-nujum ek hi KHandan mein
itna bhi muKHtalif nahin mera tumhaara tajraba
jaise ki tum muqim ho aur kisi jahan mein
Ghazal
Jate hue nahin raha phir bhi hamare dhyan mein
Azhar Faragh