jate hai KHanqah se waiz salam hai
hum dair se chale sanam ab ram ram hai
surat wo sanwli ki kanhayya ghulam hai
mere sanam se KHub-tar allah ka nam hai
dar-pesh hai wo manzil-e-na-taqati hamein
uTThe jo ham-safar hai jo baiThe maqam hai
sayyaad hi bahaar ke parde mein bulbulo
har ghuncha hai qafas rag-e-gul tar-e-ram hai
kyun kar na meri yaad faramosh ho use
samjha hai yar nang jise mera nam hai
mera lahu chaTaega jab tak na tegh ko
qatil ko dahne hath ka khana haram hai
saqi se ho jo dil-shikani bhi to lutf hai
TuTa jo shisha meri baghal ka to jam hai
fasl-e-bahaar baat ki baat is chaman mein hai
aawaz-e-ghuncha ruKHsat-e-gul ka payam hai
masti Tapak rahi hai yahan baal baal se
tan mein lahu nahin ye mai-e-lal-fam hai
tahrir-e-haal ki kise taqat hai nama-bar
hai jaan honTon par ye zabani payam hai
wo mah-ru chhupa hai mahaq-e-hijab mein
aashiq ke zindagi ka mahina tamam hai
samjhe rahen bahut mere kam-maegi harif
qatra wo hun ki aaj mera 'bahr' nam hai
Ghazal
Jate hai KHanqah se waiz salam hai
Imdad Ali Bahr