jata hai yar sair ko gulzar ki taraf
meri nigah hai gul-e-ruKHsar ki taraf
hoti hai mere samne taswir yar ki
jab dekhta hun main dar-o-diwar ki taraf
ya-rab ho KHair aaj ki kuchh dekhta hai wo
meri taraf kabhi kabhi talwar ki taraf
karta hai qatl aashiq-e-miskin ko bazm mein
duzdida dekhna tera aghyar ki taraf
hasrat hai ye maren bhi jo qaid-e-qafas mein hum
sayyaad phenk de hamein gulzar ki taraf
chaak-e-qafas se dekh tu ai andalib-e-zar
kuchh lag rahi hai aag si gulzar ki taraf

Ghazal
Jata hai yar sair ko gulzar ki taraf
Shuoor Balgirami