اردو हिंदी
Jata hai kaun aap se jallad ki taraf | Shaahi Shayari
jata hai kaun aap se jallad ki taraf

Ghazal

Jata hai kaun aap se jallad ki taraf

Peer Sher Mohammad Ajiz

;

jata hai kaun aap se jallad ki taraf
khincha is aab-o-dana ne sayyaad ki taraf

na-KHush hai aashiqon se bahut aaj-kal wo shoKH
badle karam ke taba hai bedad ki taraf

mashshata jazb-e-dil sa koi dusra nahin
shirin ko khinch le gaya farhad ki taraf

ishq-e-butan hai KHwab-e-faramosh ai KHuda
aaya hai phir KHayal teri yaad ki taraf

deti nahin nazakat use hukm qatl ka
jata hun dauD dauD ke jallad ki taraf

aata hai qadd-e-yar chaman mein mujhe jo yaad
hairat se takne lagta hun shamshad ki taraf

ye kya sabab hai kafir-o-din-dar sab hue
yarab usi but-e-sitam-ijad ki taraf

'ajiz' chhuDae baKHt agar qaid-e-zist se
aaun kabhi na aalam-e-ijad ki taraf