jari to ho sab ke liye farman-e-mohabbat
kar dijiye dil se zara ailan-e-mohabbat
is shaKHs ko dukh-dard satata bhi nahin hai
jis dil mein raha karta hai iman-e-mohabbat
aankhon se badan se teri zulfon ki mahak se
karta hun main din-raat hi ai jaan-e-mohabbat
kya kijiye mera na hua jis ke liye main
karta raha har moD pe saman-e-mohabbat
kuchh bhi nahin behtar hai zamane mein kahin par
duniya mein nahin kuchh bhi hai shayan-e-mohabbat
mushkil hain bahut raste nafrat ke ai bhai
hum sab ke liye sab se hai aasan mohabbat
un ke liye duniya bhi wasia hoti hai 'fayyaz'
hota hai wasia jin ka bhi daman-e-mohabbat
Ghazal
Jari to ho sab ke liye farman-e-mohabbat
Faiyyaz Rashk