jaanti hun ki wo KHafa bhi nahin
dil kisi taur manta bhi nahin
kya wafa o jafa ki baat karen
darmiyan ab to kuchh raha bhi nahin
dard wo bhi saha hai tere liye
meri qismat mein jo likha bhi nahin
har tamanna sarab banti rahi
in sarabon ki intiha bhi nahin
han charaghan ki kaifiyat thi kabhi
ab to palkon pe ek diya bhi nahin
dil ko ab tak yaqin aa na saka
yun nahin hai ki wo mila bhi nahin
waqt itna guzar chuka hai 'hina'
jaane wale se ab gila bhi nahin
Ghazal
Jaanti hun ki wo KHafa bhi nahin
Zahida Hina