jaante the gham tera dariya bhi tha gahra bhi tha
Dubne se peshtar socha bhi tha samjha bhi tha
aaina ai kash tu apna bana leta mujhe
faeda is mein bahut tera bhi tha mera bhi tha
ek azab-e-jaan thi us ki tunak-KHui magar
zaiqa us dard ka miTha bhi tha tikha bhi tha
kaise paDh leta main us chehre se apna haal-e-dil
wo ruKH-e-jugnu-sifat jalta bhi tha bujhta bhi tha
yun kiya hai muddaton main ne ghazal ka mashghala
ek tere nam ko likhta bhi tha paDhta bhi tha
dil ki rahon mein ba-har-surat rahi ek raushni
chand tere dard ka baDhta bhi tha ghaTta bhi tha
hum ne tere aks ko taqsim kab hone diya
aaina to barha TuTa bhi tha bikhra bhi tha
jab wo ruKHsat ho gae hum se to yaad aaya hamein
un se ai 'asrar' kuchh kahna bhi tha sunna bhi tha
Ghazal
Jaante the gham tera dariya bhi tha gahra bhi tha
Asrarul Haq Asrar