اردو हिंदी
Jaanne ke liye betab tha aghyar ka haal | Shaahi Shayari
jaanne ke liye betab tha aghyar ka haal

Ghazal

Jaanne ke liye betab tha aghyar ka haal

Mohammad Abid Ali Abid

;

jaanne ke liye betab tha aghyar ka haal
us ne puchha na hamare dil-e-bimar ka haal

shama bhi jalne pe aamada thi parwana bhi
ek jaisa hi tha matlub-o-talabgar ka haal

sogwari mein hamari the barabar ke sharik
hum se milta tha hamare dar-o-diwar ka haal

sarw-e-timsal hai qamat mein shabahat mein gulab
kya bayan samne us ke karen gulzar ka haal

us taraf jo bhi gaya lauT ke aaya na kabhi
puchhiye kis se maqam-e-rasam-o-dar ka haal

sab ne dil tham liya dekh ke us ko 'abid'
ek hi jaisa hua kafir-o-dinda ka haal