jaanib-e-manzil safar mein raushni si hai abhi
is andheri raat mein bhi chandni si hai abhi
jo hamare dil mein hai wo bujh lenge KHud kabhi
baat kya samjhaiye jo an-kahi si hai abhi
hai wahi dhaDkan purani par meri sanson mein kyun
ek nai KHushbu hai mano tazgi si hai abhi
kya wahi aaegi le kar chilchilati dopahar
ek suhani dhup jo lagti bhali si hai abhi
ho sake dohraiye na baat jo sachchi lage
dushmani ban jaegi jo dosti si hai abhi
Ghazal
Jaanib-e-manzil safar mein raushni si hai abhi
Jatinder Vir Yakhmi u0027jayaveeru0027