jaanib-e-kucha-o-bazar na dekha jae
ghaur se shahr ka kirdar na dekha jae
khiDkiyan band karen chhup ke gharon mein baiThen
kya saman hai pas-e-diwar na dekha jae
surKHiyan KHun mein Dubi hain sab aKHbaron ki
aaj ke din koi aKHbar na dekha jae
shahr ka shahr gunahgar to ho sakta hai
jab kahin koi gunahgar na dekha jae
dasht se kam nahin viran koi basti 'maKHmur'
ye hujum-e-dar-o-diwar na dekha jae
Ghazal
Jaanib-e-kucha-o-bazar na dekha jae
Makhmoor Saeedi