اردو हिंदी
Jaanib-e-dasht kabhi tum bhi nikal kar dekho | Shaahi Shayari
jaanib-e-dasht kabhi tum bhi nikal kar dekho

Ghazal

Jaanib-e-dasht kabhi tum bhi nikal kar dekho

Nasir Zaidi

;

jaanib-e-dasht kabhi tum bhi nikal kar dekho
dosto aabla-pai ka amal kar dekho

meri aashufta-sari par na hanso ai logo
ishq ki aag mein KHud bhi zara jal kar dekho

tum jo chaho to mere dil ko sukun mil jae
apna andaz-e-nazar kuchh to badal kar dekho

main tumhein jine ke andaz sikha sakta hun
ek do gam mere sath to chal kar dekho

chandni-raaton mein phirta hai koi aawara
tum ko fursat jo mile ghar se nikal kar dekho

fasle barson ke pal-bhar mein simaT aaenge
aaj ki shab mere pahlu mein machal kar dekho

us ka chehra hai kisi dasht ka suraj 'nasir'
us ki jaanib kabhi dekho to sambhal kar dekho